Talha Anjum – Jhoot (Lyrics & Video)

Jhoot – Talha Anjum Lyrics

Meri kalaa bhi tumhi se

Dil ko hai raah ek tumhi se

Is duniya se tou khana jungi

Meri sulaah hai tumhi se

Tum laa-pata ho kahin pe

Baadal tou aa bhi gaye thay

Baras ke wo jaa bhi chuke hain

Hum aesi barsaatein chahte nahin thay

Hum chahte thay duniya ek aesi jahan bheer naa ho, naa ho koi shor-o-gul

Hum chahte thay baarish ki awaaz, mitti ki khushbhu aur chaman mein khiltay gul

Hum chahte thay tujh ko aur chahte thay itna ke chah ke bhi naa bhool paayein ab

Hum chahte mai-khanay aur jaate bhi itna sab samjhein hum waapas naa ayein ab

Tou bolo kya karein?! (Kya karein)

Kyun karein bayaan kuch bhi sab tere saamnay

Meri be-dili, yeh tashnigi, yeh duniya ki saazishein

Tu meri sardiyon ki dhoop thi, ab andherey chhaa chukay

Tu koi khuda nahin, mera sach ghalat, tu jhoota sahi

Jhoot, de Talha Anjum, é faixa introspectiva; composição por Talha Anjum; lançado em 3 de julho de 2026.

Advertisement